Monday, 1 August 2011

baatein


baatein choti choti..
lekin kitni moti..
kabhi hasati gudgudati..
kuch yaad ban jaati..

shaam ki chai ke waqt
dopahar ki thakaan ke samay..
subah ki bhad-daud ke waqt 
ya raat ke aaraam ke beech..

kabhi rai si choti baatein
ghanto discussion karati..
aur kabhi pahad si unchi baatein
khamoshi me hi deh jaati..

baatein kuch ankahi si
din bhar dubaye rahe..
kuch keh kar bhi
yaad hi na rahe..

baatein choti choti..
lekin kitni moti..

No comments:

Post a Comment