tab aazaadi ki aur ek kadam bada tha
aaj har kadam me gulam soch hai
tab sach bolne ke liye khoon diya tha
aaj sach ko hi lahuluhan kiya hai
jis aazaadi ke liye shahid hue we
usi ka humne mol bhulaya
jis himmat se lade the wo
usi ka humne mazak banaya
yaha sab azaad hai
par azaadi kisi ke pass nahi
aaj sab takatwar hai
par himmat kisi ke pass nahi
is desh ka mazaak udakar
kya mil jaaega
kuch lekar nahi aaya tha
par badnaami lekar jaaega
Kyunki ye bharat to azaad he par soch ko aaj bhi gulaam banaya jaata he ..
ReplyDelete